lala-o-gul mein bikhar jaenge hum kaun kahta hai ki mar jaenge hum din isi fikr mein kata hum ne raat aai to kidhar jaenge hum aur ho jae andhera gahra zindagi aur nikhar jaenge hum aur barham ho nizam-e-hasti dil ye kahta hai sanwar jaenge hum muntazir hai koi kanton se pare panw kat jaen magar jaenge hum dekh len hum ko zamane wale sang-o-ahan mein utar jaenge hum jagmagate hue aiwanon se aaina le ke guzar jaenge hum mit bhi jaenge to manind-e-ghubar shah-rahon pe bikhar jaenge hum 'nur' jaulan hai samand-e-wahshat aaj ta-hadd-e-nazar jaenge hum