mizaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchane jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane mila hai dard hamein dard-ashna ki tarah bhala hua ki khulus-e-karam ko pahchane hazar kos nigahon se dil ki manzil tak koi fareb se dekhe to hum ko pahchane ye khud-fareb ujale ye hath hath diye diye bujhao ki insan gham ko pahchane bahut dinon to hawaon ka hum ne rukh dekha bade dinon mein mata-e-qalam ko pahchane