kya jald din bahaar ke ya-rab guzar gae bijli hawa se puchh rahi hai kidhar gae shayad isi gharaz se chadhe the nigah par wo rah pa ke aankh se dil mein utar gae wade ka nam lab pe na aae payam-bar kahna faqat yahi ki bahut din guzar gae achchhon ka hai bigad bhi behtar banaw se bikhre to aur bhi tere gesu sanwar gae ek jalwa-gah-e-husn thi mahshar na tha 'jalil' kya kya hasin hamari nazar se guzar gae