sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi azab-e-zist mein rashk-e-gunah hon to sahi kahin to sahil-e-na-yaft ka nishan hoga jala ke khud ko taqaza-e-ah hon to sahi majal kya ki na manzil bane nishan-e-wafa safir-e-khud-nigran gard-e-rah hon to sahi sada-ba-dasht banegi na ye lahu ki tapish lahu ke chhinte magar gah gah hon to sahi