kya kahen aatish-e-hijran se gale jate hain chhatiyan sulgen hain aisi ki jale jate hain gauhar-e-gosh kisu ka nahin ji se jata aansu moti se mere munh pe dhale jate hain yahi masdud hai kuchh rah-e-wafa warna baham sab kahin nama o paigham chale jate hain bar-e-hirman-o-gul-o-dagh nahin apne sath shajar-e-bagh-e-wafa phule phale jate hain hairat-e-ishq mein taswir se rafta hi rahe aise jate hain jo hum bhi to bhale jate hain hijr ki koft jo khinche hain unhin se puchho dil diye jate hain ji apne male jate hain yaad-e-qad mein tere aankhon se bahen hain juen gar kisu bagh mein hum sarw tale jate hain dekhen pesh aawe hai kya ishq mein ab to jun sail hum bhi is rah mein sar gade chale jate hain pur-ghubari-e-jahan se nahin sudh 'mir' hamein gard itni hai ki mitti mein rule jate hain