rakhen hain ji mein magar mujh se bad-gumani aap jo mere hath se pite nahin hain pani aap ghadi ghadi na karen hum pe mehrbani aap ki husn rakhte hain aur aalam-e-jawani aap main bosa le le ke rukh ka utha diya parda isi ghurur pe karte the lan-tarani aap main apna haal jo kahne laga to yun bola sune hai kaun kaha kijiye kahani aap main be-gunah saza-war galiyon ka nahin na mere sath karen itni bad-zabani aap musawwiron ne qalam rakh diye hain hathon se banawen aaine mein apna naqsh-e-sani aap wafa ki is se talab kar na hargiz ai nadan ki bewafa hai tilism-e-jahan-e-fani aap sharab wasl ka kis ki piya hai ye saghar khumar-e-shab se jo rakhte hain sargirani aap ye bewafa bhi miyan-'mushafi' kisi ke hue buton pe karte ho kyun itni jaan-fishani aap