kya kahen puchh mat kahin hain hum tu jahan hai gharaz wahin hain hum kya kahen apna hum nasheb-o-faraaz aasman gah gah zamin hain hum wahm mein apne the bahut kuchh lek khub dekha to kuchh nahin hain hum hum ko nakara jaan mat le le tere hi nam ke nagin hain hum main jo puchha kahan ho tum to kaha tujh ko kya kaam hai kahin hain hum apne uqde kisi tarah na khule kis dil-azar ki jabin hain hum hum na tir-e-shahab hain na sumum nala-o-ah-e-atishin hain hum bud-o-nabud mein gharaz apne jis tarah se ki ham-nashin hain hum kya kahen puchh mat ba-qaul 'ziya' ek dam hain so wapsin hain hum