tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do tumhein gham ki qasam is dil ki virani mujhe de do ye mana main kisi qabil nahin hun in nigahon mein bura kya hai agar ye dukh ye hairani mujhe de do main dekhun to sahi duniya tumhein kaise satati hai koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do wo dil jo main ne manga tha magar ghairon ne paya hai badi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do