ye chhapke ka jo baala kan mein ab tum ne dala hai isi baale ki daulat se tumhaara bol-baala hai nazakat sar se panw tak padi qurban hoti hai ilahi us badan ko tu ne kis sanche mein dhaala hai ye dil kyunkar nigah se us ki chhidte hain main hairan hun na khanjar hai na nashtar hai na jamdhar hai na bhaala hai balaen nag kale naginen aur sanp ke bachche khuda jaane ki is jude mein kya kya bandh dala hai na ghol aata hai khuban ka sarak ai dil main kahta hun ye kampu ki nahin paltan ye pariyon ka risala hai jise tum le ke bedardi se panw mein kuchalte ho ye dil main ne to ai sahab badi mehnat se pala hai 'nazir' ek aur likh aisi ghazal jo sun ke ji khush ho ari is dhab ki baaton ne to dil mein shor dala hai