kya kahiye ru-e-husn pe aalam naqab ka munh par liya hai mahr ne daman sahab ka taswir main ne mangi thi shokhi to dekhiye ek phul us ne bhej diya hai gulab ka ab kya sunaen tute hue dil ki dastan aahang be-maza hai shikasta raubab ka itne fareb khae hain dil ne ki ab mujhe hota hai ju-e-ab pe dhoka sarab ka tum chandni ho phul ho naghma ho sher ho allah-re husn-e-zauq mere intikhab ka allah bolte nahin to muskura hi do main kab se muntazir hun tumhaare jawab ka sab waqiat hain magar allah-re inqalab aaj un pe hai guman kasi rangin khwab ka