mujhe ilzam na de tark-e-shakebai ka mujh se poshida hai aalam teri ranai ka mana-e-jalwagari khauf hai ruswai ka bas usi par tumhein dawa hai zulekhai ka kya kahun gar use eajaz-e-mohabbat na kahun husn khud mahw-e-tamasha hai tamashai ka ashk jo aankh se bahar nahin aane pata aaina hai mere jazbaat ki gahrai ka tere aaghosh mein kya jaaniye kya aalam ho dil dhadakta hai tasawwur se tamannai ka shikan-e-bistar-o-namnaki-e-barish hain gawah puchh lo un se fasana shab-e-tanhai ka kashish-e-badr se chadhta hua dariya dekha allah allah wo aalam teri angdai ka