ye bhi na puchha tum ne 'anjum' jita hai ya marta hai wah-ji-wa aashiq se koi aisi ghaflat karta hai nai jawani nae-nawele nadan alladh aur albele sach puchho to tum ko sahib dil dete ji darta hai puchhte kya ho haal hamara jine ka hai kaun sahaara ro lete hain ji bhar bhar kar jab gham se ji bharta hai un se nahin kuchh shikwa hum ko un se nahin kuchh ranj-o-malal kis se ai dil ishq kiya kis se chah ko barta hai rote rote hijr mein kyun-kar jine se dil ser na ho kahte hain talab bhi sahib phewan phewan bharta hai mujh ko to dil dene mein kuchh uzr nahin ai jaan-e-jahan sach to ye hai dil hi khud kuchh aaga pichha karta hai sail-e-sarishk-e-gham se 'anjum' khana-e-dil barbaad na ho dekho dekho kaba ki buniyaad mein pani marta hai