manzur nahin ranj ko rahat mere dil ki

manzur nahin ranj ko rahat mere dil ki
furqat ko gawara nahin furqat mere dil ki

kya puchhte ho chaaragaro dard-o-alam ko
surat se ayan hoti hai haalat mere dil ki

har-waqt musibat mein hai har-waqt bala mein
kya dard-o-alam se hui khilqat mere dil ki

bawar nahin aata hai to ai jaan tum aa kar
khud dekh lo haalat shab-e-furqat mere dil ki

wa'da to kiya hai shab-e-furqat mein ajal ne
shayad ki thikane lagi mehnat mere dil ki

wo ghair ki ulfat se agar baz bhi aaen
jaegi na ta-zist kudurat mere dil ki

kya lutf mila hijr ka us ko bhi kahin 'lutf'
kyon ghair ko manzur hai rahat mere dil ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close