maut us bekas ki ghayat hi sahi umr bhar jis ne musibat hi sahi husn ka anjam dekhen ahl-e-husn ishq mera be-haqiqat hi sahi zindagi hai chashm-e-ibrat mein abhi kuchh nahin to aish-o-ishrat hi sahi dekh leta hun tabassum husn ka gham-parasti meri fitrat hi sahi parda-dar-e-sadgi hai har ada ye tasanno be-zarurat hi sahi darpai-e-azar hai qismat to ho ab mujhe tum se mohabbat hi sahi hur-e-be-ja ki talafi kuchh to kar khair izhaar-e-nadamat hi sahi ai ajal kuchh zindagi ka haq bhi hai zindagi teri amanat hi sahi kya karun 'akbar' dili jazbaat ko is taghazzul mein qadamat hi sahi