kya kahun kaisa sitam ghaflat se mujh par ho gaya qafila jata raha main subh hote so gaya be-kasi muddat talak barsa ki apni gor par jo hamari khak par se ho ke guzra ro gaya kuchh khatarnaki tariq-e-ishq mein pinhan nahin khap gaya wo rah-rau is rah ho kar jo gaya muddaa jo hai so wo paya nahin jata kahin ek aalam justuju mein ji ko apne kho gaya 'mir' har-yak mauj mein hai zulf hi ka sa dimagh jab se wo dariya pe aa kar baal apne dho gaya