sada fikr-e-rozi hai ta zindagi hai jo jina yahi hai to kya zindagi hai chhupa munh na apna ki mar jaenge hum pari-ru tera dekhna zindagi hai mujhe khizr se do na jine mein nisbat ki us ki ba-ab-e-baqa zindagi hai teri bewafai ka shikwa karen kya khud apni hi yan bewafa zindagi hai ajal ke siwa us ki daru nahin kuchh ajab dard dur-az-dawa zindagi hai tu gulshan mein rah gul ye kahta tha us se tere dam se meri saba zindagi hai jinhon ne kiya hai dil aaina apna unhin logon ki ba-safa zindagi hai kahan ki hawa tak raha hai tu nadan ki pal marte yan hawa zindagi hai na hum muft marte hain ku-e-butan mein ki marne se yan muddaa zindagi hai tu ai 'mushafi' gar hai aashiq fana ho ki aashiq ko baad-az-fana zindagi hai