kya kahun kya kya gaya jab apna kashana gaya khum gaya saqi gaya aur hum se mai-khana gaya ho gae kitne hi gum aql-o-khirad ki rah mein manzil-e-maqsud tak to sirf diwana gaya gosha-e-tahzib mein bhi ghat mein sayyaad hai ab kabhi ka farq-e-abaadi-o-virana gaya aaj ki is zindagi ke tez-rau tufan mein waqt-e-zikr-e-saghar-o-mina-o-paimana gaya jit le qalb-o-jigar qudrat ka ab wo waqt hai ab sanam ke jitne ka lutf-e-afsana gaya zindagi ne ab tarashe nau-butan-e-dil-ruba wo purana tarz-e-sajda aur but-khana gaya hum zamane ke rukh-o-raftar ki baaten karen ab wo lutf-e-garmi-e-raftar-e-jaanana gaya aahan-o-tesha ki hai jhankar naghma waqt ka ho gaya khamosh mutrib sher-e-rindana gaya khair maqdam hum nae dil se karen ab ai 'habib' raat guzri shama rukhsat aur parwana gaya