mast-e-sharab-e-naz par shikwe ka kuchh asar nahin meri khabar ho kya unhen apni jinhen khabar nahin gardish-e-rozgar se khauf mujhe hua hi kab sail-e-alam se bah sake pahlu mein wo jigar nahin god mein hadsat ke pal ke hi main jawan hua wo nahin zindagi qubul jis mein koi khatar nahin manzil-e-ishq mein mujhe aae to sakht marhale badhna nahin hai sahl agar rukna bhi sahl-tar nahin main hun yahan bhi be-qarar tha main wahan bhi be-qarar dil ki dawa udhar na thi dil ki dawa idhar nahin ghir ke ghata uthi abhi chhat bhi gai abhi 'habib' meri shab-e-firaq ki dahr mein kya sahar nahin