kya kahun wo kidhar nahin rahta han magar is nagar nahin rahta tu ho tera khayal ho ya khwab koi bhi raat bhar nahin rahta jab sukun hi na de sake to phir ghar kisi taur ghar nahin rahta jis ghadi chaho tum chale aao main koi chand par nahin rahta yun to apni bhi justuju hai mujhe tujh se bhi be-khabar nahin rahta dil-figaron ke shahr mein 'tabish' ek bhi bakhiya-gar nahin rahta