kya karen ja ke gulistan mein hum hain ba-kunj-e-qafas fughan mein hum jaante aap se juda tujh ko karte gar farq jism-o-jaan mein hum hain tajalli-e-zat ke teri ek parda sa darmiyan mein hum gul ka ye rang hai to ab ek din aag rakh denge aashiyan mein hum wan taghaful ne apna kaam kiya yan rahe mehr ke guman mein hum aasman ko nishana karte hain tir rakhte hain jab kaman mein hum mar ke nikle qafas se khub hua tang aae the is makan mein hum gar yahi aah hai to dekhoge rakhne kar denge aasman mein hum shakh-e-gul ke gale se lag lag kar rote hain mausam-e-khizan mein hum bagh tak jate han agar pate taqat us jism-e-na-tawan mein hum 'mushafi' ishq kar ke aakhir-kar khub ruswa hue jahan mein hum