na us ke nam se waqif na us ki ja malum milega dekhiye kyunkar wo but khuda malum jawab dekhiye dil le ke ye kaha chupke na ho ye aur kisi ko tere siwa malum laga ke zakhm-e-jigar par jo phir namak chhidka to is mein hum ko hua aur hi maza malum badan pari ka tere tan se go ki gora hai wale wo chahe ki aisa ho gudguda malum hum us pe marte hain muddat se aur wo kahta hai qasam khuda ki hamein to ye ab hua malum kiya tha ahd na wada na qaul ne iqrar jo aa gaya wo mere pas shab ko na-malum jo mujh se hans ke kaha jis liye hum aae hain 'nazir' tum ne bhi sach kahiyo kya kiya malum kaha ye main ne mujhe kya khabar tumhin jaano kisi ke dil ki bhala ji kisi ko kya malum