kya karta main ham-asron ne tanha mujh par chhod diya sab ne bosa de kar sach ka bhaari patthar chhod diya dhila padta tha suli ka phanda us ki gardan par mere qatil ko munsif ne fidya le kar chhod diya dariya ke rukh bahne wali machhli murda machhli hai us kashti ki khair nahin hai jis ne langar chhod diya shoalon ki is hamdardi par dil mein lawa pakta hai jab sari basti phunki thi kyun mera ghar chhod diya suraj ne bhi soch samajh kar jal bichhae kirnon ke shabnam shabnam daka dala aur samundar chhod diya sara ghar sota hai do ghante mein aaega akhbar aaj 'muzaffar' panch baje hi kaise bistar chhod diya