maula kisi ko aisa muqaddar na dijiyo dilbar nahin to phir koi digar na dijiyo apne sawal sahl na lagne lagen use aate bhi hon jawab to far-far na dijiyo chadar wo dijiyo use jis par shikan na aae jis par shikan na aae wo bistar na dijiyo aae na kar-e-shukr-guzari pe koi harf jab dijiyo to zarf se badh kar na dijiyo bikhrao kuchh nahin bhi simatte mere aziz apne kisi khayal ko paikar na dijiyo tafriq rahne dijiyo tarif-o-tanz mein ab ke sharab zahr mila kar na dijiyo ya dil se tark kijiyo dastar ka khayal ya us muamle mein kabhi sar na dijiyo kahiyo ki tu ne khub banai hai kaenat lekin use likhai ke number na dijiyo mear se siwa yahan raftar chahiye 'jawwad' us ko aakhiri ower na dijiyo