kya kya hue hain hum pe sitam kuchh na puchhiye naguftani hai qissa-e-gham kuchh na puchhiye dil ka to haal aap ko hum ne suna diya jin mushkilon mein aap hain hum kuchh na puchhiye guzre ba-khair kaba-o-but-khana se to hum ab sar kis aastan pe hai kham kuchh na puchhiye aankhon mein ashk lab pe fughan dil mein iztirab kis mehrban ke hain ye karam kuchh na puchhiye samjha hua tha husn ko hum ne wafa-sarisht nikla hai kis tarah ye bharam kuchh na puchhiye meri nazar mein waqat-e-dair-o-haram hai kya ai sakinan-e-dair-o-haram kuchh na puchhiye le ja raha hai zauq-e-tamasha mujhe kahan uthte hain kis taraf ko qadam kuchh na puchhiye pahuncha hai aaj nama-e-dildar to hamein kya kya hua hai zeb-e-raqam kuchh na puchhiye husn-e-sukhan mein lutf jo hai kya bataen hum 'sahir' ke sher hi ki qasam kuchh na puchhiye