majbur-e-shab ko subh ka mukhtar dekh kar hairan hai aql waqt ki raftar dekh kar bimar ko hai aap ke aane ka intizar sab ro rahe hain haalat-e-bimar dekh kar ahbab ki tasalliyan khud zakhm ban gain ghabra raha hun kasrat-e-gham-khwar dekh kar anjam-e-fasl-e-gul pe hai meri nigah dost khun ro raha hun rang-e-chaman-zar dekh kar kis ne falak ka chand zamin par bichha diya aaya khayal rahguzar-e-yar dekh kar shabnam ho jaise daman-e-nargis mein khanda-zan samjha main un ki chashm-e-guhar-bar dekh kar phir mere ghaur-o-fikr ki qismat jaga bhi de muddat hui hai tujh ko ziya-bar dekh kar 'akhtar' sukun-e-dil ke siwa thi har ek shai hum laut aae raunaq-e-bazar dekh kar