kya subh se gharaz meri kya sham se gharaz

kya subh se gharaz meri kya sham se gharaz
ai khush-ada hai mujh ko tere kaam se gharaz

ek bandagi ke shahr ke masruf-e-kar ko
tarif se gharaz hai na dushnam se gharaz

ai irtiqa-mizaj tujhe aisa kya hua
wabasta ho gai teri auham se gharaz

main to musafir-e-rah-e-ali-nasib hun
asbab ke liye mujhe har kaam se gharaz

bas itna jaan lijiye sachchai ke tufail
shair hun kuchh to hai mujhe ibham se gharaz

jo mast-e-shad-kaam ho fikron ke darmiyan
us ke labon ko kyon ho mai-o-jam se gharaz

'shaariq' mulazmat ka hai ye aakhiri padaw
kyon ho ab ikhtilaf ke hangam se gharaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close