mera shikwa har ek sohbat mein subh-o-sham karte hain khuda jaane mujhe itna wo kyon badnam karte hain gila un ki jafaon ka jo subh-o-sham karte hain tera shikwa bhi wo ai gardish-e-ayyam karte hain sahar hote hi hum yakja subu-o-jam karte hain sawere hi se dur-andesh fikr-e-sham karte hain mohabbat mahz ruswai hai ai dil soch le is ko badi mushkil se paida log apna nam karte hain kisi se ham-sukhan hota nahin mahfil mein parwana unhen baaten nahin aatin jo apna kaam karte hain hamin ko kyon banaya takhta-e-mashq-e-sitam tum ne tumhaare ishq ka dawa to khas-o-am karte hain bade nadan hain jin ko hai ummid-e-karam tujh se jo aaqil hain wo kab aisa khayal-e-kham karte hain rahi umr-e-rawan garm-e-safar shab ko bhi ai 'sahir' jinhen hai fikr manzil ki wo kab aaram karte hain