kya kya maze se raat ki ahd-e-shabab mein chhodun na umr-e-rafta gar aa jae khwab mein ek dil ke waste ye phanse wo azab mein rahte hain apni zulf hi ke pech-o-tab mein hai shauq-e-wasl tujh se lipatta hun bar bar warna ye mastiyan to nahin thin sharab mein itni na kije jaane ki jaldi shab-e-visal dekhe hain main ne kaam bigadte shitab mein ho jae chaak sina ki dil ghut ke mar chala ai chaara-ju kisi ko phansa mat azab mein kar bahr o bar ki hasti-e-mauhum par nazar thodi si khak dal di chashm-e-pur-ab mein tab qatl-gah mein qatl-e-udu ko chale hain wo mera lahu mila ke piya jab sharab mein kin mehnaton se wasl pe raazi hue hain wo sau nama-bar hue jo sawal o jawab mein akhtar-shumariyon mein nikalta hai dam kahin 'taskin' tumhin ko dakhl nahin hai hisab mein