kya kya sadaen sunte hain khali makan se hum behtar to ye hai bhag chalen ab yahan se hum sarsabz wadiyon ki tarah mahw-e-khwab wo aur dhup mein jhulaste hue saeban se hum wo dur aasman pe chadhti patang ki ek dor the ki tut gae darmiyan se hum ruhon ka ghol tha ki khada chikhta raha bahar nikal ke ja na sake jism-o-jaan se hum khwahish ki aag thi ki jalati rahi hamein tahlil ho gae hain faza mein dhuan se hum