shuur-e-zat ka sauda kahin saron mein na tha ki ab shumar kisi ka payambaron mein na tha kisi ke lab pe shikayat na thi andhere ki koi charagh bhi jalta hua gharon mein na tha jo pattharon pe bhi so jata tha sukun ki nind ab us ko chain kahin narm bistaraon mein na tha pighalne ki wo riwayat to mom mein bhi na thi wo sakht-pan bhi kahin aaj pattharon mein na tha abhi abhi hi main jis din se mil ke aaya hun wo din to sal ke sare calenderon mein na tha na koi naqsh hi duniya mein mil saka tera tera pata kahin lashon ke pinjron mein na tha bahut dinon se hain jhilen bhi pur-sukun 'salim' wo iztirab bhi ab to samundaron mein na tha