ye jo uthti konpal hai jab apna barg nikalegi dali dali chategi aur patta patta kha legi honhaar birwa ke patte chikne chikne hote hain bahut nahin kuchh thode hi din mein bel phunag ko aalegi abhi to kya hai chhutpan hai nadani hai be-hoshi hai qahr to us din howega jab apna hosh sambhaalegi naz-ada aur ghamzon ke kuchh aur hi katregi gul-phul sin lagawat chitwan ka bhi aur hi itr nikalegi kajal mehndi pan misi aur kanghi choti mein har aan kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe dhaalegi jab ye tan gadrawega aur bazu banhen honge gol us dam dekha chahiye kya kya pet ke panw nikalegi kis kis ka dil dhadkega aur kaun malega hathon ko pakkin se jab angiya mein ye kachche seb uchhaalegi pan chaba aur aaine mein dekh ke apne honton ko kya kya hans hans dewegi aur kya kya dekhe-bhaalegi khana-jangyan howengi aur log marenge kat kat kar shahr ke kuche-galiyon mein ek shor-e-qayamat dalegi jab ye mewa husn ka ras ras pak kar howega tayyar naika is ki qimat ka jab dekha chahiye kya legi sona rupa sim-o-jawahir sabr o dil o din hosh-o-qarar aankh utha kar dekhte hi ek aan mein sab rakhwa legi apne waqt-e-jawani mein ye shokh khuda hi jaane 'nazir' kis kis ka zar lutegi aur kis kis ka ghar ghaalegi