kya main jugnu ko aaftab karun ya charaghon ka intikhab karun dil ye kahta hai inqalab karun pesh us ko main ek gulab karun waqt ne kya nahin diya mujh ko be-sabab waqt kyun kharab karun sar patak kar ab us ke kuche mein apni taqdir se hisab karun main karun phir koi sawal naya aur phir us ko la-jawab karun zindagi ne to haar man hi li kam-se-kam maut kaamyab karun sab ke chehre pe ek chehra hai kis ka chehra main be-naqab karun