paikar se husn jhankte bola ki aaiye

paikar se husn jhankte bola ki aaiye
dariya ke sath aap bhi sahra banaiye

phir yun hua hum us mein kahin mahw ho gae
us ne kaha tha waqt ko sakte mein laiye

ai sakinan-e-chashm chalen sulh kijiye
uthiye hamare khwab ko sine lagaiye

is kasa-e-huruf ki sunta nahin koi
dast-e-dua sametiye aur laut jaiye

waqt-e-safar khamosh hain bosa-kinan-e-lab
un se kalam kijiye un ko rulaiye

'arish' kisi ne chand banana hai chaak par
apne badan ki mitti zara gundh laiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close