kya musibat-zada dil mail-e-azar na tha kaun se dard-o-sitam ka ye taraf-dar na tha aadam-e-khaki se aalam ko jila hai warna aaina tha ye wale qabil-e-didar na tha dhup mein jalti hain ghurbat watanon ki lashen tere kuche mein magar saya-e-diwar na tha sad gulistan ta-yak baal the us ke jab tak tair-e-jaan qafas-e-tan ka giraftar na tha haif samjha hi na wo qatil nadan warna be-gunah marne qabil ye gunahgar na tha ishq ka jazb hua bais-e-sauda warna yusuf-e-misr zulekha ka kharidar na tha narm-tar mom se bhi hum ko koi deti qaza sang chhati ka to ye dil hamein darkar na tha raat hairan hun kuchh chup hi mujhe lag gai 'mir' dard pinhan the bahut par lab-e-izhaar na tha