shab-e-hijr sahra-e-zulmat nikli main jab aankh kholi bahut raat nikli mujhe galiyan de gaya wo sarihan mere munh se hargiz na kuchh baat nikli hua wadi-e-qatl sahra-e-mahshar meri nash jab roz-e-miqat nikli kami kar gaya naz-e-pinhan ka khanjar na jaan tere bismil ki haihat nikli tu ai 'mushafi' ab to garm-e-sukhan ho shab aain daraaz aur barsat nikli