kya nam-e-khuda apni bhi ruswai hai kam-bakht ruswai-e-majnun bhi tamashai hai kam-bakht ladne ko lade us se par ab karte hain afsos afsos ajab apni bhi danai hai kam-bakht ek baat bhi mil kar na karen us se hum ai charkh kya tujh ko yahi baat pasand aai hai kam-bakht hamdam to yahi kahte hain chal bazm mein us ki kya kahiye use apni jo khud-rai hai kam-bakht wo to nahin waqif pa hamin dil mein khajil hain kis munh se kahen hum ne qasam khai hai kam-bakht yaro hamein taklif na do sair-e-chaman ki aane do bala se jo bahaar aai hai kam-bakht rahne do hamein kunj-e-qafas mein ki hamare qismat mein yahi gosha-e-tanhai hai kam-bakht is jam-e-nigun se mai-e-rahat na talab kar yan baada nahin baadiya-paimai hai kam-bakht tode hain bahut shisha-e-dil jis ne 'nazir' aah phir charkh wahi gumbad-e-minai hai kam-bakht