tamam shahr ki khatir chaman se aate hain hamare phul kisi ke badan se aate hain hum un labon se laga kar rahenge lab apne sukhan tamam usi anjuman se aate hain pada hun us ke badan ke bides mein kab se main kya padhun jo ye name watan se aate hain ki jaise tapta tawa aur bund pani ki zamin pe hum bhi usi tarah chhan se aate hain hum aap-biti sunate hain sada lafzon mein ye sare sher hamein tark-e-fan se aate hain zamane-bhar se hai 'ehsas-ji' ki chaal alag har ek bazm mein wo bad-chalan se aate hain