kya phir zamin dil ki namnak ho rahi hai ek bel aarzu ki pechaak ho rahi hai yalghaar kar raha hai ek raushni ka lashkar tarikiyon ki chadar phir chaak ho rahi hai us ko sikha raha hai ayyariyan zamana duniya bhi rafta rafta chaalak ho rahi hai us ne bana diya hai matam-kada jahan ko khilqat fasurdagi ki khurak ho rahi hai us ke sabab se jina dushwar ho gaya hai is baat ki mazammat kya khak ho rahi hai