muddaton khub aazmati hai phir mohabbat samajh mein aati hai rup apna ujalne ke liye zindagi dhup mein nahati hai sab charaghon ko das chuki aandhi ek din khud se haar jati hai sara aalam duhai deta hai raat jab dastan sunati hai koi mayusiyon ko samjhae chah khud rasta banati hai koi an-ban hui hai gulshan se kyun 'saba' laut laut jati hai