tere sitam ka bahut ghalghala sunai de mere habib mujhe izn-e-lab-kushai de milen jo hum to zamana guman kare kya kya khuda-e-pak use qalb ki safai de hain nakhwaton ke bhi kante gul-e-ibaadat mein ghurur-o-kibr ka phal shakh-e-parsai de ye kis qabil ke logon se rabt hai tera ki jo bhi bazm se nikle teri duhai de nizam-e-dahr mohabbat pe ustuwar karen khuda hum ahl-e-mohabbat ko gar khudai de