kya sab us ne sun kar an-suna kya wo khud mein is qadar tha mubtala kya main hun guzra hua sa ek lamha mere haq mein dua kya bad-dua kya kiran aai kahan se raushni ki andhere mein koi jugnu jala kya musafir sab palat kar aa rahe hain wahan se band hai har rasta kya main ek muddat se khud hi gum-shuda hun bataun aap ko apna pata kya ye mahfil do dhadon mein bat gai hai zara puchho hai kis ka muddaa kya mohabbat rahguzar hai kahkashan si so is mein ibtida kya intiha kya