kya sochte ho ab phulon ki rut bit gai rut bit gai wo raat gai wo baat gai wo rit gai rut bit gai ek lahr uthi aur dub gae honton ke kanwal aaankhon ke diye ek gunjti aandhi waqt ki bazi jit gai rut bit gai tum aa gae meri bahon mein kaunain ki pengen jhul gain tum bhul gae, jine ki jagat se rit gai rut bit gai phir tair ke mere ashkon mein gul-posh zamane laut chale phir chhed ke dil mein tison ke sangit gai rut bit gai ek dhyan ke panw dol gae ek soch ne badh kar tham liya ek aas hansi ek yaad suna kar git gai rut bit gai ye lala-o-gul kya puchhte ho sab lutf-e-nazar ka qissa hai rut bit gai jab dil se kisi ki pit gai rut bit gai