manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain jitne bhi khwab hain meri palkon pe bojh hain utrega chand to meri bhar aaegi ye aankh tare falak se tut kar raaton pe bojh hain sochon pe naqsh hain wo jo pal the visal ke dukh hijr ke tamam hi lamhon pe bojh hain baaten us ek yaad ki baaton ka husn hain yaaden us ek yaad ki yaadon pe bojh hain 'najma' kahin bhi jhut ka jin par guman ho aise tamam lafz hi sheron pe bojh hain