nam hi kya nishan hi kya khwab-o-khayal ho gae teri misal de ke hum teri misal ho gae saya-e-zat se bhi ram aks-e-sifat se bhi ram dasht-e-ghazal mein aa ke dekh hum to ghazal ho gae kahte hi nashsha-ha-e-zauq kitne hi jazba-ha-e-shauq rasm-e-tapak-e-yar se ru-ba-zawal ho gae ishq hai apna paedar teri wafa hai ustuwar hum to halak-e-warzish-e-farz-e-muhaal ho gae jada-e-shauq mein pada qaht-e-ghubar-e-karwan wan ke shajar to sar-ba-sar dast-e-sawal ho gae sakht zamin-parast the ahd-e-wafa ke pasdar ud ke bulandiyon mein hum gard-e-malal ho gae qurb-e-jamal aur hum aish-e-visal aur hum han ye hua ki sakin-e-shahr-e-jamal ho gae ham-nafasan-e-waza-dar mustamian-e-burd-bar hum to tumhaare waste ek wabaal ho gae kaun sa qafila hai ye jis ke jaras ka hai ye shor main to nidhaal ho gaya hum to nidhaal ho gae khar-ba-khar gul-ba-gul fasl-e-bahaar aa gai fasl-e-bahaar aa gai zakhm bahaal ho gae shor utha magar tujhe lazzat-e-gosh to mili khun baha magar tere hath to lal ho gae 'jaun' karoge kab talak apna misaliya talash ab kai hijr ho chuke ab kai sal ho gae