kya tarah hai aashna gahe-gahe na-ashna ya to begane hi rahiye hojiye ya aashna paemal-e-sad-jafa na-haq na ho ai andalib sabza-e-begana bhi tha is chaman ka aashna kaun se ye bahr-e-khubi ki pareshan zulf hai aati hai aankhon mein meri mauj dariya-ashna rona hi aata hai hum ko dil hua jab se juda jae rone hi ki hai jawe jab aisa aashna na-samajh hai to jo meri qadar nain karta ki shokh kam bahut milta hai phir dil-khwah itna aashna bulbulen paiz mein kahti thin hota kashke yak mizha rang farari is chaman ka aashna ko gul-o-lala kahan sumbul saman ham-nastaran khak se yaksan hue hain hae kya kya aashna kya karun kis se kahun itna hi begana hai yar sare aalam mein nahin pate kisi ka aashna jis se main chahi wisatat un ne ye mujh se kaha hum to kahte gar miyan hum se wo hota aashna yun suna ja hai ki karta hai safar ka azm-jazm sath ab begana wazon ke hamara aashna sher 'saib' ka munasib hai hamari or se samne us ke padhe gar ye koi ja aashna ta-ba-jaan ma ham-rahim wa ta-ba-manzil digaran farq bashad jaan-e-ma az-ashna ta-ashna dagh hai taban alaihir-rahma ka chhati pe 'mir' ho najat us ko bechaara hum se bhi tha aashna