kya tera kya mera khwab jis ki qismat is ka khwab baba aankhen neamat hain mat dekha kar baba khwab sare saron par dastaren khwab aur diwane ka khwab main ne ujrat mangi thi us ne hath pe rakkha khwab bant aate hain bachchon mein roz ek jhuta sachcha khwab shab bhar aankh mein bhiga tha pure din mein sukha khwab ek saf mein mahmud aur main ye auqat aur aisa khwab hum us shahr ke log jahan taza hawa ka jhonka khwab aksar pakde jate hain pahla jurm aur pahla khwab
This is a great shayari baba bulleh shah punjabi. Please share if you liked this!!!