mah achchha hai ki wo badr-e-kamal achchha hai dekhna hai ye hamein kis ka jamal achchha hai aap ki chashm-e-inayat ne sanbhaala us ko aaj to aap ke bimar ka haal achchha hai haal jab hoga bura dekhne wo aaenge log kahte hain bura jis ko wo haal achchha hai jis se milte hain milate hain ajal se us ko chashm-e-qatil mein tumhaari ye kamal achchha hai wasl jab us but-e-kafir ka mayassar ho jae roz wo achchha wo mah achchha wo sal achchha hai khal-o-abru mein tumhin faisla kar do koi badr achchha hai tumhaara ki hilal achchha hai huren jannat ki na kaam aaengi apne 'naushad' un hasinon ka magar husn-o-jamal achchha hai