kyon hashr bapa aah khudaya nahin hota kya kya nahin sahta hun main kya kya nahin hota majnun ki tarah se mujhe sauda nahin hota main bhule rawana su-e-sahra nahin hota giryan sifat-e-abr hun muztar sifat-e-barq is lutf pe tu mahw-e-tamasha nahin hota firaun hua hai wo mere haq ka khudaya kyon nala asa-e-kaf-e-musa nahin hota haal-e-dil-e-betab tadapne se nahin kuchh mashuq ke aane pe ijara nahin hota iqrar-e-shab-e-wasl pe ye tul are zalim dam bhar ke bhi jine ka bharosa nahin hota malum ho tujh ko are zalim pa karun kya mahshar meri taqdir se barpa nahin hota kyon mahw-e-tamasha hai meri lash pe aalam kah do koi marta hai tamasha nahin hota nakaam-e-shahadat hain wo ai ham-nafasan hum khanjar ke tale kaam hamara nahin hota az-bas wo siyah-kar-e-haya hun main tah-e-khak gahe mere marqad mein ujala nahin hota