kya tum ne kabhi zindagi karte hue dekha main ne to ise bar-ha marte hue dekha pani tha magar apne hi dariya se juda tha chadhte hue dekha na utarte hue dekha tum ne to faqat us ki riwayat hi suni hai hum ne wo zamana bhi guzarte hue dekha yaad us ke wo gulnar sarape nahin aate is zakhm se us zakhm ko bharte hue dekha ek dhund ki ranon mein pighalti hui pai ek khwab ki zarre mein utarte hue dekha barik si ek daraz thi aur us se guzar tha phir dekhne walon ne guzarte hue dekha