nigah yunhi na bas rahguzar se wapas aa murassa ho ke hadon ki khabar se wapas aa tu mujh se hat ke kahin aur kyon rahe aakhir nikal ke manzar-e-diwar-o-dar se wapas aa agar hain dekhna apni tajalliyan mujh mein utar ke nur ka dariya qamar se wapas aa falak pe baitha hua jaane kaun hai mujh se ye kah raha hai ki tu bahr-o-bar se wapas aa sukun-o-amn ka sahil hai muntazir tera meri hayat ki kashti bhanwar se wapas aa tu us ko bhid mein har chand pa nahin sakta khuda milega khudaon ke ghar se wapas aa wafa kitab mein padh le wafa ke khwab na dekh tu 'ehtisham' khayali safar se wapas aa